Unko Shikaayat He….Main Bewafaai Pe Nahi Likhta,
Aur Me Sochta Hun Key Main Unki Ruswai Pe Nahin Likhta,

Khud Apne Se Zyaada Buraa, Zamaney Me Kon Hai?
Main Isliye Aouro Ki….Buraai Pe Nahi Likhta

Kuch To Aadat Se Majboor Hai Aur Kuch Fitraton Ki Pasand Hai,
Zakhm Kitne Bhi Gahre Ho, Main Unki Duhaai Pe Nahi Likhta

Duniyaa Ka Kyaa He Har Haal Me Ilzaam Lagati He,
Varnaa Kyaa Baat Ki Main Kuch Apni Safaai Pe Nahi Likhta,

Shaan-e-Amiri Pe Kuch Arz Karu, Magar Ek Rukaavat Hai,
Merey Usul, Main Gunaahon Ki Kamaai Pe Nahi Likhta

Uski Taakat Ka Nasha Mantra Aur Kalmay Main Barabar Hai.
Mere Dosto Main Mazhab Ki Ladaai Pe Nahi Likhta.

Samandar Ko Parakhne Ka Mera Nazariya Hi Alag Hai Yaaro.
Mizaazo Pe Likhta Hu Uski Gehrai Pe Nahi Likhta.

Paraaye Dard Ko Main Gazalon Main Mehsus Karta Hu.
Yeh Sach Hai Main Shazar Se Fal Ke Judaai Pe Nahi Likhta.

“Tazurba Teri Mohabbat Ka” Na Likhne Ki Vajah Bas Yeh
Ki ‘Ashik’ Ishq Main Khud Apni Tabahi Pe Nahi Likhta.